Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee
Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ?
Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ?
Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee
Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee
Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ?
Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee
Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai
Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai
Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke
Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar jati hai
Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai
Bagair iske to zindagi bhi adhuri hai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai
Tu mere naseeb mai nahi tha
warna faasla itna bhi nahi tha,
chahti to tujhe hassil kar sakti thi main
magar dil zabardasti par razi nahi tha,
tu aaya tha kisi shahzadon ke des se
tu apne shehar ka lagta bhi nahi tha,
tune uske liye mere pyar ko thukra diya tha
jisne tujh ko kabhi chaha hi nahi tha,
haan ! sach hai, humne teri qadar ki
magar tu iss tawwajjo ke qabil hi nahi tha.....
Jab hamne pyar karna chaha to,
Unhone hamse nata tod liya.
Jab kabhi aayi yad hamein unki,
Unhone bhi na kahte hue munh mod liya.
Aakhir kabhi na aayegi yaad unhe hamari.
Sochkar hum NE bhi umeed ka daman chod diya.
Tarsate rahe unki ek jhalak pane ko,
Aur apna har rasta dukhon ki aur mod liya.
Jab ehsas hua hamari sachchhi mohbbat ka unhe,
Tab tak hum us mukam pe the,
Jahan se laut kar aana hamare liye mushkil,
Aur hame pana unke liye namunkin tha.
Jab hamne pyar karna chaha to,
Unhone hamse nata tod liya.
Jab kabhi aayi yad hamein unki,
Unhone bhi na kahte hue munh mod liya.
Aakhir kabhi na aayegi yaad unhe hamari.
Sochkar hum NE bhi umeed ka daman chod diya.
Tarsate rahe unki ek jhalak pane ko,
Aur apna har rasta dukhon ki aur mod liya.
Jab ehsas hua hamari sachchhi mohbbat ka unhe,
Tab tak hum us mukam pe the,
Jahan se laut kar aana hamare liye mushkil,
Aur hame pana unke liye namunkin tha.
Yu to mohabbat ki haqiqat se hum khoob waqif the
Doston....
Par pata nahi kyu unko dekha to,
Zara sa shouk hua zindagi barbaad karne ka.
YAADON'' ko bhulane main kuch dair to lagti hai,
''ANKHON'' ko sulany main kuch dair to lagti hai,
Kisi ''SHAKHS'' ko bhula dena itna aasan nahi hota,
''DIL'' ko samjhany main kuch dair to lagti hai,
Bhari ''MHAFIL'' main jab koi achanak yaad aa jay,
Phir ''ASHAQ'' chupany main kuch dair to lagti hai,
Jo shakhs ''JAAN'' se b pyara ho achanak door ho jay,
Dil ko ''YAQEEN'' dilany main kuch dair to lagti hai....
Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi…!”
“Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi…!”
“Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par…!”
“Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi…!”
“Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main…!”
“Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi…!”
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga…!
“Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta hi Nahi.
Dhoondtay Kia Ho In Aankhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Guum Rehna Tou Aadat Hai Puraani Meri.
Pyar ke ujale mein gam ka andhera kyu aata hai,
Jisko hum chahte hai wahi kyu rulata hai,
Mere khuda agar wo mera naseeb nahi hai,
To aise logo se hame kyu milata hai.
Jo jitna door hota hai nazron se,Utna hi wo dil ke paas hota hai,Mushkil se bhi jiski ek jhalak dekhne ko na mile,Wahi zindagi mein sab se khaas hota hai.......!Na Koi Rang Na Hathon Pe Hina Merey BaadWo Mukammal Hi Siya Posh Huwa Merey BaadLe Ke Jata Raha Har Shaam Wo Phool Or ChiragBas Yahi Us Ne Kiya, Jitna Jiya Merey BaadRoz Ja Kar Wo Samandar Ke Kinarey Chup ChaapNao Kagaz Ki Bahata Hi Raha Merey BaadUs Ke Honthon Se Mera Naam Nikal Jata ThaJis Ne Apnaya Usey Chhor Diya merey BaadMain Ne Girney Na Diye They Kabhi Aansoo UskeShayad Is Wastey Wo Roo Na Saqa Merey BaadMain Bhi Waisa Na Raha Us Key Bichhar Janey SeKoyi Us Ko Bhi Na Pahchaan Saqa Merey BaadSari Duniya Ne Usey Maal-e-Ghanimut SamjhaJo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Huwa Merey BaadUs Ka Hasna Mujhey Bhata Tha So Wo Shakhs SamBaal Kholey Huye Hansta Hi Raha Merey Baad.Dil tadapta raha aur wo jane lage,Sang guzre har lamhe yaad aane lage,Khamosh nazro se dekha jo usne,To bhigi palko se hum bhi muskurane lage.