Usny tora tha mera dil us se koi shikayat nahi,
Ye Usi ki Amanat thi usy acha lga so tor diya..
Mere sath to rahay ga to zamana kya kahay ga,
Meri ik yehi Tamanna, Tera ik yehi Bahaana…!
Sameit kar le jaao apne jhoote waadon ke adhure qisse….
Agli Mohabbat me tumhe phir inki zarurat padegi..!!!
Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujhko,
Sametni theen jisy meri kirchiyan Mohsin
Tuje shikayat hai ke muje badal diya shab-o-Roz ne,
kabhi khud se bi to sawal kr tu wohi hai ya koi or hai..
Meri wafayen yaad karoge,
Ro'ge fariyad karoge,
Mujko to barbad kiya he,
Ab or kise barbad karoge.
Khaali hain dil faqeer ke kashqol ki tarha,
Iss sheher-e-bewafa se wafa kon le gaya…
Rehny de ye kitaab tery kaam ki nahi,
Is mai likhy hue hain Wafaaon k Tazkry..
Aey dost hum nay tark-e-taaluq k bawajood,
Mehsoos ki hai teri zarroret kabhi kabhi…
Woh jo kehti thi, Hazaron milte hain roz tere jese,
Us ke hathon pe mehndi lagi, Aaj barson ke baad..
Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay,
Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maaray…
Jo Mere Zikr Par Ab Qahqahey Lgata Hai
Bicharte Waqt Koi Haal Dekhta Uska..
(Qahqahey: giggle, laugh)
Wo apni zindagi mien howa Masroof itna,
Wo kis kis ko bhol gya usay ye bhi yad nahi.
Phir Se Nikleingay Talash-E-Zindagi Mein,
Dua Karna Is Bar Koi Bewafa Na Miley..
Haan..! Mujhy Rasm-E-Mohabat ka Saliqa Hi Nahe,
Jaa..! Kisi Aur Ka Hony ki Ijazat Ha Tujhy… :(
Dhondo ge ujray rishton main wafa k khazaney,
Tum mere baad meri muhabbat ka ehtram karo ge..!!
Mat pooch meri mohabat ki intehaa kaha tak hai,
Tu kar le sitaam teri taaqat jahan tak hai,
wafa ki ummeed jinhe hogi unhe hogi,
Dekhoon tou zara tu beewafa kaha tak hai..
Sabit howa ke tu bhi zamaney ke sath hy,
Sabit howa ke tu bhi hamara nahi raha…
Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..
Neend bhi mehbooba ban gayi hai,
Bewafaa raat bhar nahin aati…
Tujhe bhulany ki koshish to bohat ki "aye bewafa",
Teri yadain gulab ki wo shaakh hai jo roz mehakti hai….
Na to majburi hai koi na to lachari hai,
Bewafai teri paidayishi bimari hy…..
Na Raha Karo Udaas Kisi BeWafa Ki Yaad Mein..
Wo Khush Hai Apni Duniya Mein Teri Duniya Ko Ujaar Kar..
Yeh inayaten ghazab ki, yeh bala ki maharbani,
Meri khairiyat bhi poochhi, kisi or ki zubani.!!!
toot k chahna oar phir toot jana
batt choti hia magar boht gahree hia
Jaa TuJhe Tere Haal Pe Chora,
IS Se BehTer Teri Saza Bhi Kaa Hai !!!
Tum Laut k anay ka takalluf mat Karna,
Hum Ek mohabbat ko Do baar Nahi kartay…!!!
(Takalluf:Bother)
Toot kar reh gia aeyny sy rishta apna
ek muddat hoi dekha nahi chehra apna
Toot kar umeed apni karchiyon mai bat jai gi
rezah rezah ho gy arman phattar ki tarah
Tooty sakoot qisa mehro wafa chaly
dam ghut raha hy donton thandi hawa chaly
Tum phir na a sakon gy,batana tu tha muje
tum door ja ke bas gy,mai dhonta phira
Tumharey bad na takmeel ho saki apni
tumhrey bad na takmeel ho saki apni
Taluq jis qadar mazboot tha utna hi nazuk tha
zara sy beniazi ny wafa na motabir kar di
qata-a kijiay na taaluq hum say
kuch nahi hai adawat hi nahi
main wo saaf hi na kah dn jo frq tujhe main mujh main
tera drd, drd tanhaa, mera gham, gham-e- zamana
Wo Mujh Mein Ghul Mil Gayi Hai Laikin,
Abhee Talak Mujh Se Ajnabi Hai….
Tabdeeli Jab Bhi ati hai Mausam Ki Adaoun Main…
Kissi Ka Youn Badal Jana, Bohat He Yaad Ata hai…
To ny bichard ke apny sir ilzam ly liya
warna faraz ka to rona sada ka tha
Phattar sy kuchal aya tha may jis ko gali may
dekha to wahi sanp mery sir pay kharda tha
Pata hy dost hi botey hay rah may kantay
gali may un ke chala ho barhana paon bohat
phir os ki yad ma dil beqarar hy nasir
bichard ke jis sy hoi shehar shehar roswai
Kaise Bhula Doon Usko Main,
Maut Insanon Ko Aati Hai,Yadon Ko Nahi..
Bichard ke tuje sy na dekha gia kesi ka milap
urda diye hy parindy shajar pay bethy howay
Bas yahi bat ke logo ko na chaho dil sy
tajarby es ke siwa umar ko kia dety hy
Behakti rato may hum sab, sabab nay rotay
barishen tu hoti hy barisho ke mosam may
Bichardny waly bichar chala tha to nisbaten bhi ganwa ke jata
tery lieye shehar bhar may ab may zakham khao zaba-n zaba-n sy
Baat bas ye thi ke hum phlon sy mismaar howay
ly tuje inti si baat bata di hum ny
Bar-ha es hansi par khud hansi ay muje
kar raha ho kis zamany may wafa ki bat
Bacha kar ly gy sab apni apni kashtiyan,chipky
bohat chakray hum jab halqa gardab sy guzry
Osy bhi ahdy-e wafa totny ka gham ho ga
bhari hy daman may mery bhi karchiyan kitni
Aghraz sy meri teri, chehry aty howay sabhi
chenta wafa ka ek bhi, rishto ki dhol par ny
Os bolandi sy tu ny nawaza kuin tha
gir ke may toot gia kanch ke bartan ki tarah
apny jalny may ny karty hy kesi ko shareek
raat ho jay tu hum shama bojha dety hy
Ek simay tera phool sa nazuk hat tha mery shano par
Ek waqat ke may tanha or dukh ke kanto ka jungle
AY umar rafta mai tujhe ponchata nay
AB muje ko bhol ja ke bohat bewafa ho may
Apni beeti jag beeti hy jab sy dil ny jan lia hy
Hansty hansty jewan guzra rona dhona bhol gia
Agli hi glai may rehta ho or milny tak ny ata hy
Kehta hy takleef kia karna hum-tum tu piyar ka nata hy
Ek baar hum ny paar kia chipp ka rigzar
phir umar bhar atay rahy lafzoo ki dhool may
Wo Pathar Dil Sahi Lakin Hamara bhi ye Daawa hy.
Hamari Muhabbat jinhein choo le Wo Pathar bhi Dharakna Seekh jate hain…
Ye Shehar Chorna Hay Magar is Say Peshtar
Os Bewafa Ko Aik Nazar Dekhna Bhi Hay ………..!
Mein tujh ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad,
Tera khayaal kiya tha ke chot ubhar aayi..
Hum ne ik bat ki jodai ki,
Aur us be wafa ne haad kar di.
Wafa shoar kai hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir ajj usi be wafai ki bat karain.
Wo zindagi ho k dunia faraz kia kijiye,
K jis se ishq kro be wafa nikalti hai.
Wabasta meri yaad se kuch talkhian bhi thin,
Acha kia jo muj ko faramosh kar dia.
Wohi zameen hai wohi asmaan wohi hum tum,
Sawal ye hai zamana badal gea kaise.
Nazar un ki zaban un ki tajab hai k is par bhi,
Nazar kuch aur kehti hai zaban kuch aur kehti hai.
Muhabbaton me ajab hai dilon ka dharka sa,
K jane kon kahan rasta badal jae.
Meri wafa pe bhi ae dost ehtabar na kar,
Muje bhi teri tarah sub se piar karna hai.
Lafaz o maini ki sadakat na badal jae kahen,
Ajj apnon se muje bo e wafa ati hai.
Logon ki takmeel ka baes banane wale,
Kion kar meri zaat adhori chor gae ho.
Lehja badal badl k na kar muj se goftago,
Pehchanta hon rang teri bat bat ka.
Qateel apna muqadar gham se begana agar hota,
To phir apne parae hum se pehchane kahan jate.
Zahir me jo karta ha bare piar ki batain,
Andar se wohi shakhs hamara nahin hota.
Tabah khod dar pe ik tarfah sitam hai mohsin,
Un ka andaz e karam ghair k ehsas k sath.